uTTho ab maTi se uTTho
jago mere lal
ab jago mere lal
tumri sej jawan karan
dekho aai rain andhyaran
nile shaal do-shaale le kar
jin mein in dukhiyan akhiyan ne
Dher kiye hain itne moti
itne moti jin ki jyoti
dan se tumra
jag jag laga
nam chamakne
uTTho ab maTi se uTTho
jago mere lal
ab jago mere lal
ghar ghar bikhra bhor ka kundan
ghor-andhera apna aangan
jaane kab se rah take hain
baali dulhaniya banke wiran
suna tumra raj paDa hai
dekho kitna kaj paDa hai
bairi biraje raj-singhasan
tum maTi mein lal
uTTho ab maTi se uTTho, jago mere lal
haT na karo maTi se uTTho, jago mere lal
ab jago mere lal
Nazm
Sipahi ka marsiya
Faiz Ahmad Faiz