KHuda ne alao jalaya hua hai
use kuchh dikhai nahin de raha hai
har ek samt us ke KHala hi KHala hai
simaTte hue dil mein wo sochta hai
tajjub ki nur-e-azal miT chuka hai
bahut dur insan TheThuka hua hai
use ek shola nazar aa raha hai
magar us ke har samt bhi ek KHala hai
taKHayyul ne yun us ko dhoka diya hai
azal ek pal mein abad ban gaya hai
adam is tasawwur pe jhunjhla raha hai
nafas-do-nafas ka bahana bana hai
haqiqat ka aaina TuTa hua hai
to phir koi kah de ye kya hai wo kya hai
KHala hi KHala hai KHala hi KHala hai
Nazm
Silsila-e-roz-o-shab
Meeraji