aaj
qalam ki nok tale
ajib mauzua taDap raha hai
shuur-e-dil se
ulajh paDa hai
dimagh bhi kuchh
kah raha hai
ki
har ek shai ko mafad mein tolne wale
hawaon mein zahr gholne wale
nai duniya ke jadid masalon ka hal nikal sakenge
kisi muamle ko suljha sakenge
shuur
dil se ye kah raha hai
Nazm
Shuur-e-dil se
Afroz Alam