ai shaeran-e-qaum zamana badal gaya
par misl-e-zulf-e-yar tumhaara na bal gaya
piToge kab talak sar-e-rah tum lakir ko
bijli ki tarah sanp taDap kar nikal gaya
uTTho wagarna hashr nahin hoga phir kabhi
dauDo zamana chaal qayamat ki chal gaya
ek tum ki jam gae ho jamadat ki tarah
ek wo ki goya tir kaman se nikal gaya
han han sambhaalo qaum ko shayad sambhal hi jae
gir gir ke mulk-e-hind kuchh aaKHir sambhal gaya

Nazm
Shoara-e-qaum se KHitab
Shah Deen Humayun