اردو हिंदी
Shoala-e-tarab | Shaahi Shayari
shoala-e-tarab

Nazm

Shoala-e-tarab

Owais Ahmad Dauran

;

rone ki umr hai na sisakne ki umr hai
jam-e-nashat ban ke chhalakne ki umr hai

shabnam ki bund pi ke chaTakne ki umr hai
gulshan mein phul ban ke mahakne ki umr hai

sad-marhaba ye gumrahi-e-shauq chashm-o-dil
han rah-e-arzu mein bhaTakne ki umr hai

ek jurm hai KHayal-o-tasawwur gunah ka
ye umr sirf pi ke bahakne ki umr hai

diwana ban ke najd ke sahra mein ghumiye
laila ki justuju mein bhaTakne ki umr hai

bechain kyun ho ruh kisi ek ke liye
har mah-wash pe jaan chhiDakne ki umr hai

is daur-e-imbisat mein ba-haalat-e-junun
har ku-e-dilbaran mein bhaTakne ki umr hai

lazim nahin ki KHud ko bachata phirun tamam
shisha hun choT kha ke darakne ki umr hai

taskin wo de rahi hain par ai qalb-e-na-subur
tu aur bhi dhaDak ki dhaDakne ki umr hai

jab chal paDa hun ghar se to manzil ki shart kya
hun rah-naward-e-shauq bhaTakne ki umr hai

hun aaftab-e-taza hua hun abhi tulua
apne jahan-e-nau mein chamakne ki umr hai

aiwan o taKHt-o-taj hain meri lapeT mein
shoala hun main ye mere bhaDakne ki umr hai

'dauran' main bazm-e-dost mein chheDun na kyun ghazal
ye zamzame ke din hain lahakne ki umr hai