mehrban nazuk ridaon ki tahon mein
narm bahon ki panahon mein hai raqsan ye zamin
wo ek sipar ban kar
jhulasne se bacha leti hain us ko
naghma-gar saiqal fazaen
sabz resham ki qaba pahne zamin
hathon mein thame nastaran nargis saman
nazuk tahon mein
zindagi hai kis qadar mahfuz lekin
lahza lahza har parat madum hoti ja rahi hai!
ek din jab aaKHiri tah ki sipar hogi shikasta
mehrban ozone ki chadar mein lipTi
ye zamin jab be-qaba ho jaegi to
arghawani aag mohlik ungliyon se
us ki shadabi ko apni aanch mein jhulsae-gi aur
ye dhuan ban kar KHalaon mein uDegi!
Nazm
Shikasta sipar
Parvin Sheer