ufuq ki munDeron pe
din ka thaka manda suraj khaDa tha
aur us ka badan surKH shaalon ki zad mein jhulasta raha
wo chup-chap gum-sum
KHalaon ko takta raha
ek gunga tamashai ban kar
yakayak KHalaon ki pahnaiyon mein
pas-e-parda-e-shab se
ek chiKH ubhri
wo maghrur suraj
jo apni takmili shuaon ke zahrile kanTon se
masum dharti ka sina khurachta raha tha
kisi sard patthar ki manind chup ho gaya
andheron ki yalghaar se
dam-ba-KHud rah gaya
Nazm
Shikast
Raees minai