mere kaleje ki rag rag se huk uThti hai
mujhe meri har shikaston ki dastan na suna
na puchh mujh se meri KHamushi ka raaz na puchh
mere dimagh ka har gosha dukh raha hai abhi
faza-e-zulmat-e-mazi mein ai mere hamdam
Dhake Dhake se meri kaamraniyon ke nishan
udas udas nigahon ki shama se na TaTol
har ek ke sina pe bar-e-shikast hai is waqt
tera KHulus meri dastan ka unwan hai
mere habib mujhe ab to apni mohlat de
ki apne dard ko dil mein chhupa ke gham-KHurda
jahan se dur kahin us taraf nikal jaun
wo dekh waqt ke chehre pe saf likkha hai
ki ye shikast meri aaKHiri shikast nahin
Nazm
Shikast
Abid Almi