اردو हिंदी
Shikast | Shaahi Shayari
shikast

Nazm

Shikast

Akhtar Payami

;

ghane daraKHt ke sae mein kaun baiTha hai
tasawwuraat ki sau mishalen jalae hue

riyaz-o-fikr ki lahren jawan chehre par
siyah zulf mashiyyat ka dil churae hue

ye iztirab ki andar ka dil dhaDakta hai
ye irtiash ki kohsar thartharae hue

ye aadmi na kahin zabt-e-zindagi sah kar
mujhi se chhin le mere kanwal jalae hue

kaho kaho kisi rangin titari se kaho
ki apne honTon pe naghmon ka bar uThae hue

zamin ki samt rawana ho bijliyon ki tarah
jala ke rakh hi kar de mahal banae hue

wo meinka ne fazaon mein rag chheDa hai
wo ghungruon ki sadaen zamin uThae hue

rishi ki aankhon mein us ragni se dip chale
labon se khinch liya ras nazar milae hue

suna hai aaj bhi andar ka taKHt baqi hai
wahi hain rang-mahal ab bhi jagmagae hue

magar abhi mere mathe pe nur raqsan hai
meri shikast se parwardigar larzan hai