saqi ki har nigah pe bal kha ke pi gaya
lahron se khelta hua lahra ke pi gaya
be-kaifiyon ke kaif se ghabra ke pi gaya
tauba ko toD-taD ke tharra ke pi gaya
zahid! ye teri shoKHi-e-rindana dekhna
rahmat ko baaton baaton mein bahla ke pi gaya
sar-masti-e-azal mujhe jab yaad aa gai
duniya-e-e'tibar ko Thukra ke pi gaya
aazurdagi-e-KHatir-e-saqi ko dekh kar
mujh ko ye sharm aai ki sharma ke pi gaya
ai rahmat-e-tamam meri har KHata muaf
main intiha-e-shauq mein ghabra ke pi gaya
pita baghair izn ye kab thi meri majal
dar-parda chashm-e-yar ki shah pa ke pi gaya
us jaan-e-mai-kada ki qasam barha 'jigar'
kul aalam-e-basit pe main chha ke pi gaya
Nazm
Shikast-e-tauba
Jigar Moradabadi