mujhe maghlub karne ko
mere jazbaat ke andoKHta hilon ko uksa kar wo kahte hain
teri aankhon teri banhon mein
jannat ke shagufon ki mahak
aasaishon ki lazzaton ka lams rachta hai
magar ab KHwahishen panw pakaDti hain
nae KHwabon ke jalon mein ulajhte sans kahte hain
kabhi to phaile hathon ke tamawwuj mein simaT jaane ki targhib-o-ishaarat ko
guzarti saaton se mawara aise zamanon ki
faza samjho
jahan sae simaT kar ek hun
taslim-e-jaan tak ki humak jage
kabhi Thahro
kabhi baDhti hui maujon se ham-aghosh hoti
tez lahron ki faza hone mein
yak-jaani ki pinhan sarKHushi dekho
kabhi us jabr-e-be-andaz ke phande se niklo
aur racho us mein ki wo KHud tum mein rachne ke liye betab daim hai
rachao hath mein is tarah mehndi
log kah uThin
use chahat ki be-payan tapish ki hiddaten gulzar karti hain
rachao hath mein is tarah mehndi
ye tapan nangi hatheli apna paikar
surKHiyon se Dhanp le aise
ki dil ke tishnagi aasar jazbe bhi
tazabzub ke dhundlakon se nikal kar
roz-o-shab ki naghmagi ko jazb karne par hun aamada
magar rangon ko aaKHir
jabr-e-be-rangi ka KHamyaza muqaddar hai
agar yun apne hathon se lagai mehndiyon ke rang uD jaen
to hasrat-zada aankhen kise chahen
kise paband-e-dar samjhen
kise DhunDen
Nazm
Shikast-e-rang
Kishwar Naheed