gir gaya ye dudh ka paimana mere hath se
ho gai ek laghzish-e-mastana mere hath se
yun zamin par ja gira hathon se mere chhuT kar
gir paDe gardun se jaise koi tara TuT kar
ghash use aaya kuchh aisa kha ke chakkar gir paDa
hath se mai-KHwar ke kyun aaj saghar gir paDa
shaKH-e-gul se farsh par bulbul taDap kar gir gai
ye gira niche ki mujh se chashm-e-saqi phir gai
jis tarah sine ke andar qalb-e-muztar be-qarar
ho gaya hathon mein mere ye bhi aa kar be-qarar
mere bais apni qismat ko ye aaKHir ro gaya
aai ek aawaz jhan si aur ThanDa ho gaya
us ke girne se yahan ek choT dil par aa gai
jo mujhe kuchh kah gai batla gai sikhla gai
yani hum bhi dast-e-qudrat mein misal-e-jam hain
aur giraftar-e-bala-e-gardish-e-ayyam hain
jam wo mashhur hai jo zindagi ke nam se
jo bhara hai shir-e-rahat se mai-e-alam se
ek din is hath se bhi chhuT kar rah jaega
is kaTore ki tarah jo TuT kar rah jaega
Nazm
Shikast-e-jam
Amjad Najmi