اردو हिंदी
Shisha ka aadmi | Shaahi Shayari
shisha ka aadmi

Nazm

Shisha ka aadmi

Akhtar-ul-Iman

;

uThao hath ki dast-e-dua buland karen
hamari umar ka ek aur din tamam hua

KHuda ka shukr baja laen aaj ke din bhi
na koi waqia guzra na aisa kaam hua

zaban se kalma-e-haq-rast kuchh kaha jata
zamir jagta aur apna imtihan hota

KHuda ka shukr baja laen aaj ka din bhi
usi tarah se kaTa munh-andhere uTh baiThe

pyali chae ki pi KHabren dekhin nashta par
subut baiThe basirat ka apni dete rahe

ba-KHair o KHubi palaT aae jaise sham hui
aur agle rose ka mauhum KHauf dil mein liye

Dare Dare se zara baal paD na jae kahin
liye diye yunhi bistar mein ja ke leT gae