ye sujhi hai kya aap ko shaiKH sahab
jo chup sadh li aap ne shaiKH sahab
lapeTa tha nasir jab jab munh socha main ne
mohabbat hi kamzor thi aap ki jo nahin rok pai use shaiKH sahab
sajila tha gul aap ke bagh ka sab se wo shaiKH sahab
gaya wo gai bazm-e-yaran ki raunaq gai us ki KHushbu
tarannum se KHali hui shairi guftugu mein maza na raha shaiKH sahab
mujhe ilm tha ki chhupate hain gham aap apna
magar aap ko main bahut saKHt-jaan jaanta tha
bhai aql-e-kul manta tha
kaha aap ka go nahin manta tha
kahan to ye dawa ki sau sal ki umr hogi hamari
kahan ab yakayak batae bina chal diye aap nasir se milne
akele mein dil aap ka bhi kahan lagta hoga
kitaben KHwah quran hi kyun na ho dosti ka badal to nahin shaiKH sahab
wafa ke taqaze kiye aap ne sare pure
meri wapsi ke rahe muntazir aaKHiri sans tak aap to shaiKH sahab
na toDa kabhi yaad ka mujh se rishta
dhar mein jise mil na paya kabhi rasta wapsi ka
bahut zor mara ki main lauT aaun
karun aa ke aabaad wo bagh-e-hikmat
chamakte the jis mein misal-e-mehr aap hi shaiKH sahab
masail ke jangal mein gum ho gaya main
siyasat ke kambal ko jitna bhi main chhoDta wo nahin chhoDta tha mujhe shaiKH sahab
mujhe ab chala hai pata ki mohabbat na kamzor thi aap ki shaiKH sahab
bulawe pe nasir ke yun chal diye aap uTh kar
mohabbat thi kamzor meri
bulate rahe aap barson mujhe main na aaya
bahut der kar di hai aane mein be-shak
magar ab mein aaya ki aaya
zara do ghaDi intizar aur ghaalib se mil lun
bahut kuchh hai kahna unhen aap se shaiKH sahab
main paigham le lun
sakina se mariyam se anwar se ruKHsat mein ho lun
gale se ibrahim ko main laga lun
main aaya ki aaya KHuda ki qasam shaiKH sahab
Nazm
ShaiKH salahuddin
Mohammad Haneef Rame