zehn mein azmat-e-ajdad ke qisse le kar
apne tarik gharondon ke KHala mein kho jao
marmarin KHwabon ki pariyon se lipaT kar so jao
abr paron pe chalo, chand sitaron mein uDo
yahi ajdad se wirse mein mila hai tum ko
dur maghrib ki fazaon mein dahakti hui aag
ahl-e-sarmaya ki aawezish-e-baham na sahi
jang-e-sarmaya o mehnat hi sahi
dur maghrib mein hai mashriq ki faza mein to nahin
tum ko maghrib ke bakheDon se bhala kya lena?
tirgi KHatm hui surKH shuaen phailin
dur maghrib ki fazaon mein tarane gunje
fath-e-jamhur ke insaf ke aazadi ke
sahil-e-sharq pe gaison ka dhuan chhane laga
aag barsane lage ajnabi topon ke dahan
KHwab-gahon ki chhaten girne lagin
apne bistar se uTho
nae aaqaon ki tazim karo
aur phir apne gharondon ke KHala mein kho jao
tum bahut der bahut der talak soe rahe
Nazm
Shahzade
Sahir Ludhianvi