اردو हिंदी
Shahr ke ek kushada ghar mein | Shaahi Shayari
shahr ke ek kushada ghar mein

Nazm

Shahr ke ek kushada ghar mein

Zehra Nigaah

;

shahr ke ek kushada ghar mein
apne apne kaam sambhaale

main aur ek meri tanhai
hum donon mil kar rahte hain

baaten karte rote hanste
har dukh-sukh sahte rahte hain

aaj ki jab suraj bhi nahin tha
phulon ke khilne ka ye mausam bhi nahin tha

aur falak par chand ke chha jaane ka hafta bit chuka tha
darwaze ki ghanTi ne wo shor machaya

jis se pura ghar tharraya
hum donon hairan hue ki aisa rahi kaun ruka hai

jo is ghar ko apna ghar hi samajh raha hai
khiDki se bahar jhanka to bas ek KHwab sa manzar dekha

suraj bhi dahliz pe tha
aur chand kiwaD ki oT se lipTa jhank raha tha

phul khile the
hum ne is mehman ko sar aankhon pe biThaya

dil mein jagah di
jo apne ham-rah sabhi mausam le aaya

thaki hui tanhai ne mujh se
thoDi der ko mohlat mangi

main ne us ko chhuTTi de di
sath mein ye takid bhi kar di

dekho kal tum apne kaam pe jaldi aana
bhul na jaana

ye rahi jo sare mausam le aate hain
in ke raste sari duniya mein jate hain

jis aangan mein chalna sikhen
us aangan mein ruk nahin pate

ruk jaen to thak jate hain