jaise koi sayyah safar se lauTe
jab sham ko tum lauT ke ghar aaoge
har naqsh mohabbat se tumhein dekhega
har yaad ko takta hua tum paoge
tum baiThoge afkar ki KHamoshi mein
sochoge ki is ranj se kya hath aaya
tum DhunDne nikle the magar kya paya
jam jaengi shoalon pe tumhaari aankhen
har shoale mein ek KHwab nazar aaega
diwaron pe parchhaiyan lahraengi
har rasta aawazon se bhar jaega
ek shahr hai aabaad tumhaare dil mein
ek shahr jo gumnam hai na-paida hai
ek shahr jo manind-e-shajar tanha hai
Nazm
Shahr gumnam
Muneebur Rahman