اردو हिंदी
Shahr-e-jaan ki fasilon se bahar | Shaahi Shayari
shahr-e-jaan ki fasilon se bahar

Nazm

Shahr-e-jaan ki fasilon se bahar

Gulam jilani Asghar

;

mujhe shahr-e-jaan mein kahan tum miloge
yahan to zamistan ki yaKH-bastagi hai

daron aur darichon
gharon ki fasilon par kai jami hai

hawa apne hathon mein KHanjar uThae
gali mein khaDi dastaken de rahi hai

main sahma hua ye sada sun raha hun
meri haDDiyon ke nihan mabadon mein

kahin aag ka ek sharara nahin hai
charaghon ki sari lawen bujh gai hain

andhere ka koi kinara nahin hai
magar hum milenge

hawaon mein jab taza rut ke shagufe khilenge
parindon ki chahkar

patton ke jhurmuT se bahar nikal kar
nae mausamon ka swagat karegi

to hum tum milenge
magar shahr-e-jaan ki fasilon se bahar milenge