sham ki aahaT jab aane lag jae
sabiqa libas utar dene ke amal ko
mizan-e-nazar par rakh lena chahiye
taki wo maila libas sham ka hi hissa na ban jae
hamein ujle libas ki fikr karni chahiye
safed ujla shaffaf rang
tahira libas ka hi hissa hai
aur hum is subh-yafta libas ke
pahanne ke ahl sabit ho gae to
najat hi najat hai
sifat hi sifat hai
lekin hum amal-e-tahira se guzre baghair
ujla libas pahan kar bhi
apni gard-e-kashafat chhupa nahin paenge
behtar hai amal-e-jariya ko hi afzal manen
naqsh-e-mubin hasil ho jae
makan ko makin, makin ko makan mil jae
aasman ko zamin zamin ko aasman mil jae
Nazm
Shaffaf rang
Sahil Ahmad