aaKHirash aa gai wo shab ai dil
subh se intizar jis ka hai
meri tanhai ki rafiq ye shab
kaun kahta hai ki tarik hai shab
mere har dard se paiwand bane
aarzuon ki ek rida aisi
jis ki zambil mein main ne apne
dil jigar zehn bichha rakkhe hon
apne mashuq ke is aanchal mein
kitne arman chhupa rakkhe hain
kitne ehsas saja rakkhe hain
mere andar ka karb uThae ye shab
kahkashan ban ke jagmagati hai
ruh burraq ban si jati hai
jis pe baiTha main apni duniya ke
aasmanon ki sair karta hun
raat se subh ko utarta hun
subh hoti hai raat aane ko
raat ko intizar rahta hai
meri tanhai ki rafiq ye shab
meri jaanan amiq ye shab
reshmi aswadi atiq ye shab
kaun kahta hai ki tarik hai shab
shab tera intizar rahta hai

Nazm
Shab ka safar
Razi Raziuddin