raat hai burda-farosh
us ke bahkae hue hosh mein kab aae hain
apne aanchal ke sitare bhi jo nilam kare
us ki banhon mein jo bahka hai
wo sambhla hi nahin
us ki baaton mein jo aaya
wo kabhi soya nahin
jis ke paikar ko hawa ne bhi kabhi mas na kiya
raat purkar
fusun-zar
aur aashufta-mizaj
jis ki aaankhon ko kisi KHwab ne bosa na diya
aisi dilkash ki misal us ki muhaal
jis se ham-KHwab ho be-KHwabi muqaddar us ka
jis ke ham-rah chale KHud ko bhula deta hai
us ke bahkae hue
'hafiz' o 'rumi' o 'tabrez' hue
Nazm
Shab-gardon ke liye ek nazm
Faheem Shanas Kazmi