sans roke hue is shahr se guzri hawa 
kuchh to kahti hai faza raat ki diwanon se 
KHak saDkon pe bahut shor hai sannaTe ka 
git likkhe hain KHamoshi ki madhur tanon se 
mere ahbab mujhe kahte hain ai jaan-e-aziz 
tu yahan tanha andheron se ulajhta kya hai 
shahr mein saf si bichhi hai bujhe angaron par 
tu faqat rakh ke ambar ko takta kya hai 
aao hum mil ke manaen shab-e-KHamoshi ko 
bujh gaya dil to hua kya abhi binai hai 
KHali nazron se taken TuTe hue taron ko 
apne KHwabon pe pasheman shab-e-tanhai hai 
sans roke hue is shahr se guzri hai hawa
        Nazm
Shab-e-tanhai
Shaista Mufti

