hawa be-mehr thi us raat ThanDi aur kaTili
sans lena sar se unchi lahr se Takkar lagana tha
sada koi nahin thi
samt ki tayyun mushkil thi
nashebi bastiyon mein raste ek dusre mein KHatm hote the
tujhe kya alam hai wo raat sar-ta-pa shab-e-hijran hamare haq mein kaisi thi
lakiren hath ki na-mehrban
matha maishat ki tarah tang aur ghar barkat se chehra nur se aari
gunahon ka kya maqdur tha achchha amal bhi ho nahin paya
kisi buDhiya ki kuTiya mein diya jhaDu
na roe ba-wazu ho kar
na kuchh tartil na tahlil
honTon se dua hi phuTti lekin hamari tera rozi raat ke har brij par
bedar aur choukas thi
gahe gahe ek lalkar aati thi azal ki lauh se
aur hum manon miTTi ke niche sahm jate the
hawa be-mehr thi us raat ThanDi kaTili
sans lena sar se unchi lahr se Takkar lagana tha
Nazm
Shab-e-hijran
Mohammad Izhar ul Haq