tumhaare aangan mein raushni ho
hamare ghar mein bhi zindagi ho
tumhaare bachche bhi muskuraen
hamare bachche bhi ro na paen
tumhein bhi lab kholne ka haq ho
hamein bhi kuchh bolne ka haq ho
tumhaari janta bhi pur-sukun ho
hamein bhi ek amn ka junun ho
tumhein bhi chahat ki justuju ho
hamein bhi insaniyat ki KHu ho
chalo ek aisi faza ki KHatir
hum ek ho kar alam uThaen
chalo ki nafrat ki sab fasilen
khaDi hain kab se unhen giraen
tarane amn aur aashti ke
hum apne apne suron mein gaen
chalo ki zulmat ki aandhiyon mein
mohabbaton ke diye jalaen
nizam-e-zar ki buraiyon ko
jabr ki sab KHudaiyon ko
tum apni dharti pe raund Dalo
hum apne mahaul se haTaen
phir ek aisa nizam hoga
sitam ka qissa tamam hoga
na koi jag mein rahega hakim
na koi jag mein ghulam hoga
chalo ki mil kar alam uThaen
mohabbaton ke diye jalaen
Nazm
Shanti
Yusuf Rahat