sham mein ghaar tha
ghaar mein raat thi
raat ke nam andhere mein ek ajnabiyat ka ehsas tha
chalti sanson ki hilti hui satah par
waqt ki naw Thahri hui thi
sansanate hue nam andhere mein poren dhaDakne lagin
ghaar mein mahw-e-parwaz palkon ke panchhi ulajhne lage
ghaar mein sham thi
chand lamhon mein sadiyan basar kar ke jab
ghaar ke daur se hum zamane mein aae
to Dhalte hue din ki gili chamak pattharon par jami thi
muD ke dekha to palkon ko parwa lagi
aur maKHmur aankhon ko sapna laga
gunjte ghaar ka nam andhera hamein apna apna laga
ghaar ne kuchh to jaane diya kuchh hamein rakh liya tha
nihayat subuksar the
aise chalte the jaise zamin ke makin
kurra-e-mah par chal rahe hon
sham ke peD par ek parinda
gajartan bheron mein gane laga
waqt ka sanwla peD hai
peD ke malgaje pat hain
dil ke apne zaman o makan
sham ke apne din raat hain
Nazm
Sham ke din raat
Waheed Ahmad