har ek daur mein har zamane mein hum
zahr pite rahe, git gate rahe
jaan dete rahe zindagi ke liye
saat-e-wasl ki sarKHushi ke liye
din o duniya ki daulat luTate rahe
faqr-o-faqa ka tosha sambhaale hue
jo bhi rasta chuna us pe chalte rahe
mal wale haqarat se takte rahe
tan karte rahe hath malte rahe
hum ne un par kiya harf-e-haq sang-zan
jin ki haibat se duniya larazti rahi
jin pe aansu bahane ko koi na tha
apni aankh un ke gham mein barasti rahi
sab se ojhal hue hukm-e-hakim pe hum
qaid-KHane sahe, taziyane sahe
log sunte rahe saz-e-dil ki sada
apne naghme salaKHon se chhante rahe
KHun-chakan dahr ka KHun-chakan aaina
dukh-bhari KHalq ka dukh-bhara dil hain hum
taba-e-shaer hai jangah-e-adl-o-sitam
munsif-e-KHair-o-shar haqq-o-baatil hain hum
Nazm
Shaer log
Faiz Ahmad Faiz