اردو हिंदी
Scape-ism | Shaahi Shayari
scape-ism

Nazm

Scape-ism

Iliyas Babar Aawan

;

chal ki sad-chaak-e-gareban wahan ho aate hain
ye jo hangama-e-hasti hai zara der ko chhoD

ek be-ant masafat ke udhar baiThte hain
yaad karte hain pari-KHanon ki talKHabi ko

apni aazurda tamannaon pe ro lete hain
gard mein rakkhe hue ashk fasurda chehre

gae waqton ka tazabzub nae waqton ka azab
aa ki shanon se gira aate hain us par kahin

is se pahle ki yahan sail-e-fana aa nikle
nam leta hua donon ka usi shor ke bich

waqt ke par jahan-zad ki dahliz ke sath
ashk rote hain masafat ka bharam rakhte hain

chal ki sad-chaak-e-gareban wahan ho aate hain