sawari unT ki hai
aur main shahr-e-shikasta ki
kisi sunsan gali mein sar jhukae
hath mein bad-rang chamDe ki mahaaren tham kar
us ghar ki jaanib ja raha hun
jis ki chaukhaT par
hazaron sal se
ek gham-zada aurat
mere wade ki rassi
resha-e-dil se buni
mazbut rassi se bandhi hai
aansuon se tar nigahon mein
kisi kohna sitare ki chamak le kar
mere KHakistari malbus ki
maKHsus KHushbu sunghne ko
aur bhure naT ki
dukh se labaalab bilbilahaT
sunne ko tayyar baiThi hai!
wahi silan-zada utaq ka gosha
jahan main ek shab us ko
larazte sansanate zahr wale
chobi tiron ki ghani barish mein
be-bas aur akela chhoD aaya tha
mujhe sab yaad hai qissa
baras kar abr bilkul tham chuka tha
aur KHala mein chand
yun lagta tha jaise
taKHt par nau-umr shahzada ho koi
yun hawa chehre ko mas kar ke guzarti thi
ki jaise reshmin kapDa ho koi
apne ThanDe aur gile KHol ke andar
gali soi hui thi
dam-ba-KHud sare makan
aaise nazar aate the
jaise narm aur barik kaghaz ke bane hon
mom ke tarshe hue hon
ek baDi taswir mein
jaise azal se istada hon!
wahi silan-zada utaq ka gosha
jahan mahtab ki burraq kirnen
us ke lanmbe aur khule baalon mein aDse
taza-tar injir ke patte raushan kar rahi thin
us ki gahri gandumin kuhni ka bosa yaad hai mujh ko
nahin bhula abhi tak
sara qissa yaad hai mujh ko
usi shab
main ne jab ek lamha-e-pur-soz mein
talwar us ke panw mein rakh di thi
aur phir ye kaha tha:
mera wada hai
ye mera jism aur is jism ki hakim
ye meri baatini taqat
qayamat aur
qayamat se bhi aage
sarhad-e-imkan se la-imkan talak
teri wafa ka sath degi
waqt sunta hai
gawahi ke liye
aakash par ye chand
qadmon mein paDi ye tegh
aur baalon mein ye injir ka patta hi kafi hai!
KHudawanda wo kaisa marhala tha!
ab ye kaisa marhala hai!
ek sunsani ka aalam hai
gali chup hai
kisi zi-ruh ki aahaT nahin aati
ye kaisi saat-e-manhus hai
jis mein abhi tak
koi nanha sa parinda ya patinga
ya koi mauhum chyunTi hi nahin guzri
kisi bhi mard o zan ki
main ne surat hi nahin dekhi
sawari unT ki hai
aur main shahr-e-shikasta ki
kisi sunsan gali mein sar jhukae
hath mein bad-rang chamDe ki mahaaren tham kar
us ghar ki jaanib ja raha hun
ya kisi mahshar
KHamoshi ke kisi mahshar ki jaanib ja raha hun
hichkiyon aur siskiyon ke baad ka mahshar
koi manzar
koi manzar ki jis mein ek gali hai
ek bhura unT hai
aur ek buzdil shaKHs ki Dhili rifaqat hai
safar na-muKHtatam
jaise abad tak ki koi lambi masafat hai!
sawari unT ki
ya kaTh ke aasab ki hai
aazmaish ek anokhe KHwab ki hai
putliyan sakit hain
saya unT ka hilta nahin
aaina-e-asar mein
sari shabihen gum hui hain
us ke hone ka nishan milta nahin
kab se gali mein hun
kahan hai wo meri pyari
meri silan-zada utaq wali
wo surili ghanTiyon wali
zaminon paniyon aur anfus o aafaq wali
kis qadar aaankhon ne koshish ki
magar rona nahin aata
sabab kya hai
gali ka aaKHiri kona nahin aata
gali ko hukm ho ab KHatm ho jae
main bhure aur buDhe unT par baiThe hue
piri ke din ginta hun
shayad is gali mein rahne wala
koi us ke ahd ka zambur hi guzre
main us ki bargah mein
dast-basta mazarat ki bhik mangun
sar nadamat se jhukaun
aur us zambur ke sadqe
kisi din apne buDhe jism ko
aur unT ko le kar
gali ki aaKHiri had par kar jaun!!
Nazm
Sawari unT ki hai
Rafiq Sandelvi