aziz man meri hansmukh meri bahadur man
tamam jauhar-e-fitrat jaga diye tu ne
mohabbat apne chaman se gulon se KHaron se
mohabbaton ke KHazane luTa diye tu ne
bana bana ke miTae gae nuqush-e-amal
tere baghair mukammal na ho saki taswir
wo KHwab jhansi ki rani ko jis ne chaunkaya
tera gihad-e-musalsal usi ki hai tabir
use hayat ka sola singar kahte hain
teri jabin pe hain kuchh silwaTen bhi Tika bhi
nazar mein jazb-e-yaqin dil mein soz-e-azadi
dahakta phul bhi hai tu mahakta shoala bhi
zara zamin ko mehwar pe ghum lene de
samaj tujh se tera soz-o-saz mangegi
jamal sikhega KHud-e'timadiyan tujh se
hayat-e-nau tere dil ka gudaz mangegi
Nazm
Sarojini-naidu
Kaifi Azmi