lamha bhar ke liye chalte chalte qadam ruk gae
KHun ke taza taza nishan chhoD kar
khansti zindagi donon haton se sine ko thame hue
jaane kis moD par ja ke gum ho gai
raste ki syahi se lipTa raha
ek asasa jise apne waris ki koi zarurat na thi
ek TuTa hua aaina
jis mein aaina-gar ki bhi surat na thi
meri aankhon ne us KHun-e-taza ka nauha paDha
meri sanson ka Dora ulajhne laga
aur phir mera insan kuchh der mein
apne hi jaise insan ke KHun se Dar gaya
ek nadida maKHluq ke KHauf se mar gaya
Nazm
Sar-e-rah
Sahar Ansari