raat ek KHwab ne aankhen mere andar kholin
aur bistar ki shikan khinch ke sidhi kar di
phir sirhane se ikaTThe kiye guzre lamhe
ek taswir bana kar sar-e-mizhgan rakh di
aankh kholungi to ye bojh girega aise
aankh ka gumbad-e-simab pighal jaega
mere sab KHwabon KHayalon ko nigal jaega
aur agar aankh na kholi to ye girya karte
sar paTakte hue lamhe kisi dimak ki tarah
aankh ke band ghilafon se chipak jaenge
is imarat ka har ek naqsh miTa Dalenge
ab jo karte hain ye bistar ka tawaf aahista
mere hone ke bahane se zara pahle hi
is dariche mein ubhar aae sahar ki aahaT
satwen phere ke aane se zara pahle hi
Nazm
Sar-e-mizhgan
Ambarin Salahuddin