meri gardan mere shane mere lab
sab ke sab viran hain
apne ghar mein ek main hun
aur kali raat ka pur-haul sannaTa
kisi ke panw ki aahaT nahin
chuDiyon aur bartanon ki khan-khanahaT bhi nahin
sui dhage ek duje se bhare baiThe hue hain
dhul mein lipTi kitaben
mez par bikhri paDi hain
aur chulha
lakDiyon ki yaad mein gum-sum
ek kone mein paDa hai
aur ek an-jaana saya
ghar ki chaukhaT par khaDa hai
ek hasin-taswir jo diwar par laTki hui hai
dekh kar mujh ko malul
chupke chupke ro rahi hai
aur kali raat ka pur-haul sannaTa
khilkhila kar hans raha hai
Nazm
SannaTa
Akhtar Rahi