koi afi hai
jo chandan ke peD ki KHushbu se maKHmur ho uThta hai
us ki shaKHon us ke patton se lipaT kar
na jaane kya DhunDta rahta hai
jaise chand ki tak mein har dam chakor rahta hai
jaise chand ki ghat mein koi megh ka kala chor rahta hai
aur phir ek pal aisa bhi aata hai
jab wo chand ko apni banhon mein bhar leta hai
duniya ki nigahon se bacha kar apni aaghosh mein Dhanp leta hai
safedi zulmat mein hal ho jati hai
raushni tariki mein badal jati hai
lekin
ye tariki hi aslan taKHliq ka mamba hai
man ka afi bhi
rahna chahta hai
tere gird-o-pesh
go teri zulf koi shankar ki jaTa bhi nahin
phir kyun ye afi
teri gardan tere naf-e-tan mein hamail hona chahta hai
bar-bar
tere sandal badan ki KHushbu
koi amrit koi somras bhi nahin,
phir kyun ye dushT rahu ketu ki tarah
pina chahta hai use bund bund chaal-bazi se
tariki hi tera muqaddar Thahra
tera maskan bhi tarik hai
ai zulqarnain
zulmat hi to aab-e-hayat ka sar-chashma hai
tera sukun tera qarar bhi tarik hai
tariki hi asl manb-e-nur hai
taKHliq-e-kaenat ka shuur hai
baadal jab chhaTta hai
chand aur bhi damakta hai
megh-dut ke kale ghane halqe se nikal kar
chand aur bhi dudhiya pur-nur ho jata hai
sandal ke shajar se lipaT ke sanp
aur bhi masrur ho jata hai
la-shuur se shuur ka safar KHatm ho jata hai
Nazm
Sandal ki KHushbu aur sanp
Perwaiz Shaharyar