ye samundar ki mehrbani thi
tum ne sahil ko chhu ke dekh liya
ab hawa tum se kuchh nahin kahti
mauj-dar-mauj lauTte ho tum
dhup mein iKHtilat karte ho
aur hawa tum se kuchh nahin kahti
koi bhi tum se kuchh nahin kahta
sab samundar ki mehrbani hai
jao barish ka ehtimam karo
abr-e-awara se patang banao
ab tumhaare hain KHema-o-KHargah
dur do baadban chamakte hain
kashtiyon mein diye jale honge
koi sahil pe aaega is bar
tum ne sote mein phir sawal kiya
kaun sahil pe aaega is bar
aao dariya nashin ho jaen
hum ne sahil ko chhu ke dekh liya
Nazm
Samundar ki mehrbani
Mohammad Anvar Khalid