اردو हिंदी
Samundar ka rasta | Shaahi Shayari
samundar ka rasta

Nazm

Samundar ka rasta

Shahab Akhtar

;

jhil
jahan se main lauTa tha

sadi pahle
wahan wapas pahunchna chahta hun

jhil
main jaanta hun

tum samundar nahin ho
main ki bas nahin hun

mujhe tumhaare siwa
koi aur rasta nahin malum

duniya ke ghamsan mein khoya raha hun
ab

achchha nahin lagta kuchh bhi
sadi ke baad lauTa hun

main
apni zat mein wapas lauTna chahta hun

jhil
tum meri madad karo

batao na
samundar ka rasta

kis taraf ko jata hai