mera dil uchhalta samundar
mera jazba-e-be-aman
mera ek ek arman
uchhalte samundar ki sadiyon purani chaTTanon se Takra ke yun reza reza hua hai
ki ghayal samundar ke sine mein mahshar bapa hai
har ek mauj dard-ashna hai
har ek qatra-e-ab anmol hai gauhar-e-be-baha hai
main hasti ke sahil ka mabhut-o-hairan musafir
mere zard chehre pe jamti hui ret
mera sarakta hua jism
sab ki nigahon ka markaz bana hai
magar koi aisa nahin
koi bhi to nahin
jo meri munjamid gahri jhilon se guzre
mere dil ke qulzum mein utre
jahan ki har ek mauj dard-ashna hai
har ek qatra-e-ab anmol hai gauhar-e-be-baha hai
jahan ruh tan se juda hai
azal ke musafir ki manzil abad hai baqa hai
Nazm
Samundar
Jameel Malik