mulaem garm samjhaute ki chadar
ye chadar main ne barson mein buni hai
kahin bhi sach ke gul-buTe nahin hain
kisi bhi jhuT ka Tanka nahin hai
isi se main bhi tan Dhak lungi apna
isi se tum bhi aasuda rahoge!
na KHush hoge na pazhmurda rahoge
isi ko tan kar ban jaega ghar
bichha lenge to khil uTThega aangan
uTha lenge to gir jaegi chilman
Nazm
Samjhauta
Zehra Nigaah