nahin samjha ja sakta aasani se
kaam ko, kiye baghair
raste ko, chale baghair
manzil ko, pahunche baghair
nahin samjha ja sakta aasani se
din ko, guzare baghair
sham ko, pukare baghair
raat ko, sitare baghair
nahin samjha ja sakta aasani se
bojh ko, uThae baghair
zaKHm ko, khae baghair
git ko, gae baghair
samjha ja sakta hai aasani se
mohabbat ko, karne ke baad
KHwab ko, karne ke baad
aadmi ko marne ke baad

Nazm
Samjha ja sakta hai aasani se
Shaukat Abidi