anhoni bhi ho jati hai
honi yunhi hote hote rah jati hai
unche niche ho jate hain
Dubne wale dariya par utar jate hain
aur tera ek samundar ke sahil par Dub ke mar jate hain
kuchh aise hain jin ki har KHwahish hasrat mein Dhal jati hai
kuchh aise hain jo ek KHwahish hasrat hi mein mar jate hain
kis ke nasib mein kya hai kaun kidhar jaega
kis ki qismat achchhi kaun bari paega
sachchi baaten karne wale kyun suli par chaDh jate hain
jhuTe shahi kar jate hain
subh ke bhule sham ko ghar wapas nahin aate
sham ke bhule subh ko wapas aa jate hain
jhuT aur sach ka KHair aur shar ka
kuchh mear to rakkha hoga
jis ne duniya qaem ki hai
us ne kuchh to socha hoga
Nazm
Samajh mein kuchh nahin aata
Fayyaz tahseen