yun meri qabr bana jaise shabistan-e-nashat
maut ka jashn mana
farsh-e-shabnam pe bichha lal gulabon ki bisat
KHali taqon pe saja zard sharabon ke zuruf
wa darichon pe ba-sad naz-o-ada Tankne aa
bhini KHushbu ke dhanak-rang hariri parde
abhi kuchh der Thahar bano abhi daf na baja
na uTha soi hui kaliyon ke ghungaT na uTha
maut agar jashn-e-mulaqat hai aa jashn mana
ek sitare ko janam de
ek sitara ki jo us maut ki shab raqs kare
maut aur raqs
nind mein bhigi hui palkon pe bedar jalal
dur ek jang-zada dasht mein taswir-e-jamal
sina-e-KHak pe kohon ka tarashida kamal
aa meri banhon mein lahra ke chali aa bano
raushni bujh gai jalne lage badanon ke hisar
dur kafur ki ThanDak mein khaDe hain ashjar
KHushk hai mera gala KHali hai pani ka gilas
apne ashkon se meri pyas bujha
aa meri qabr bana
Nazm
Sakraat maut mein pani ka KHwab
Masood Munavvar