اردو हिंदी
SaKHt-gir aaqa | Shaahi Shayari
saKHt-gir aaqa

Nazm

SaKHt-gir aaqa

Hafeez Jalandhari

;

ek be-tuki nazm
aaj bistar hi mein hun

kar diya hai aaj
mere muzmahil aaza ne izhaar-e-baghawat barmala

mera jism-e-na-tawan mera ghulam-e-eba-wafa
waqai malum hota hai thaka haara hua

aur main
ek saKHt gir aaqa… zamane ka ghulam

kis qadar majbur hun
peT puja ke liye

do qadam bhi uTh ke ja sakta nahin
mere cha kar panw shal hain

jhuk gaya hun in kaminon ki raza ke samne
sar uTha sakta nahin

aaj bistar hi mein hun