dasht-e-be-naKHil mein
baad-e-be-lihaz ne
aisi KHak aDai hai
kuchh bhi sujhta nahin
hauslon ka saeban
raston ke darmiyan
kis tarah ujaD gaya
kaun kab bichhaD gaya
koi puchhta nahin
fasl-e-e'tibar mein
aatish-e-ghubar se
KHema-e-dua jala
daman-e-wafa jala
kis buri tarah jala
phir bhi zindagi ka sath hai ki chhuTta nahin
kuchh bhi sujhta nahin
koi puchhta nahin
aur zindagi ka sath hai ki chhuTta nahin
Nazm
Sahra mein ek sham
Iftikhar Arif