اردو हिंदी
Safar | Shaahi Shayari
safar

Nazm

Safar

Wazir Agha

;

thaka haara be-jaan baadal ka TukDa
daraKHton chaTanon se daman bachata

pahaDi ke kohan se niche utra
bahut thak chuka tha

hazaron baras ki masafat
hazaron baras tak bas ek dhan musallat

baDhe aage baDh kar
pahaDon daraKHton nukili chaTanon

hawa ki nihatti sisakti hui
karb mein Dubi chiKHon ko

muTThi mein le kar masal kar
baDi sadgi se hanse muskurae

wo dhun ab kahan hai
wo nannhi si masum si muskurahaT

KHamida labon se phisal kar
hasin os ke shoKH qatre ke manind

ab KHak par gir chuki hai
thaka haara be-jaan baadal ka TukDa

daraKHton chaTanon se daman bachata
pahaDi ke kohan se dam ba dam

gahre pur-haul khaD mein agar ja raha hai
to kya hai

ye baadal ka TukDa bahut thak chuka hai
bahut thak chuka hai