اردو हिंदी
Safar par safar | Shaahi Shayari
safar par safar

Nazm

Safar par safar

Adil Hayat

;

bayaban-o-sahra ko main zer karta
chala ja raha hun

magar ye yaqin hai
ki tarik aankhon se parda haTega

andhere ujalon mein tabdil honge
nazar mujh ko aaega raushan sitara

ki chahat mein jis ki
azal se zamin par

safar par safar tai kiye ja raha hun