zindagi kaun si manzil pe ruki hai aa kar
aage chalti bhi nahin
rah badalti bhi nahin
sust-raftar hai ye daur-e-uburi kitna
saKHt o be-jaan hai wo paikar nuri kitna
chand ek KHwab jo tha
shahr-e-ummid tah-e-ab jo tha
husn ke mathe ka nanha Tika
pae aadam ke tale aate hi
utre chehre ki tarah ho gaya kitna phika
ham-junun kesh o tarah-dar hamesha ke jo the
bhagte-sayon ke pichhe dauDe
dahne baen jo Dalin nazren
ho ke be-kaif haTa lin nazren
maut aflas jafa ayyari
bhut ifrit chuDelen KHwari
nachti gati thirakti hansti
qahqahe galiyan laDti Dasti
haDDiyan chusti yarqan-zada lashon ki
panjon mein tar-e-kafan
shola dahan
basti ki bastiyan jhulsati hui
shahr pahunchin to khule dar pae
chaDh gain siDhiyon par khaT khaT khaT
badan hone lage paT
le liya danton mein shiryanon ko
wempaer ki tarah
zindagi kaun si manzil pe ruki hai aa kar
aage chalti bhi nahin
rah badalti bhi nahin
masala ye hai ki ab is mein pahal kaun kare
aasman dur
zamin chur
kahan jae koi
kash aise mein chala aae koi
dil-e-ashufta ko bahlae koi batlae koi
kis tarah phuTti hai KHushk shajar mein konpal
Nazm
Safar-e-na-tamam
Wamiq Jaunpuri