aawazen raat ki KHamoshi mein ojhal hone ka sandesa lai hain 
chand ke aadhe TukDe par kuchh KHwabon ki tadfin hui hai 
ghaDe ka pani qatra-qatra Dol raha hai 
diwaron ki miTTi mein barson se gundhi kuchh poron ka lams achanak 
qalb-kade mein chiKH paDa hai 
raat ke kale tawe par wahshat ki roTi pakne ko tayyar paDi hai 
ghaDi ki dimak sans ka nadida darwaza chaT rahi hai 
main yaadon ki taKHti le kar 
us par apne ghaghu ghoDe 
pariyan jugnu titli guDiya banTe mor ke par boson ki toffee 
aur harfon ka pak sahifa 
taswiron mein Dhaal raha hun 
kal aur aaj ke sare raste chal aaya hun 
tanhai ke chaurahe par aan khaDa hun 
chaaron jaanib ashkon ki ek barf jami hai 
sans thami hai 
aur mere hathon se jaise 
buDhi ungli chhuT rahi hai
        Nazm
Safar
Hammad Niyazi

