kaisi aawaz hai
koi kahta hai
ye dasht maujud-o-mashhur-o-mauhum bas
had idrak-o-ehsas-o-awaz tak hi nahin
chashm-o-dil ka ye tair jise
sair-e-parwaz samjhe ho majbur hai
musht-e-par sar-burida-o-paband hi
us ka sarmaya hai jis pe maghrur hai
ta-ba-hadd-e-KHirad ta-ba-hadd-e-junun
jo bhi hai hech-o-be-maya hai
kya gharaz is se
ye kya hai kaisa hai kab se hai kab tak rahega
use bhul jao ki tum KHud harif-e-KHudawand-e-afaq ho
in sawalat mein KHud tumhaari hi tauhin hai
tum dil-e-arsh-e-asar ka aaina le ke aae ho
jis mein kai rang ki
tez-rau sust-rau shoKH maddham sajal mustaqil muttasil
muntashir munfail munqasim sada pechida mubham gurab-i-subuk
nek-o-manhus
maujud-o-mashhur-o-mauhum parchhaiyan
yun guzarti hain
jaise koi
dhire dhire se palkon ko chhuta rahe KHwab mein
kaun hai kaun hai
mawara-e-KHirad
mawara-e-junun
mawara-e-nazar
mawara-e-nafas
muntazir muztarib
apni surat dikhane ko bechain hai
kaisi aawaz hai jo azal se taaqub mein hai
mere lahje ka iman us ke taKHatub mein hai
ye kahin meri aawaz hi to nahin
main mujhi ko sada de raha hun baDi der se
baDi dur se
main hi apna harif-e-azal
main hi apna harif-e-abad
mujh ko mera pata do ki main
apni aawaz ki gunj hun
Nazm
Sada-e-gumbad-e-be-rauzan-o-dar
Aziz Qaisi