KHauf-e-afat se kahan dil mein riya aaegi
baat sachchi hai jo wo lab pe sada aaegi
dil se niklegi na mar kar bhi watan ki ulfat
meri miTTi se bhi KHushbu-e-wafa aaegi
main uTha lunga baDe shauq se us ko sar par
KHidmat-e-qaum-o-watan mein jo bala aaegi
samna sabr o shujaat se karunga main bhi
khinch ke mujh tak jo kabhi tegh-e-jafa aaegi
ghair zoam aur KHudi se jo karega hamla
meri imdad ko KHud zat-e-KHuda aaegi
aatma hun main badal Dalunga fauran chola
kya bigaDegi agar meri qaza aaegi
KHun roegi sama par mere marne pe shafaq
gham manane ke liye kali ghaTa aaegi
abr-e-tar ashk bahaega mere lashe par
KHak uDane ke liye baad-e-saba aaegi
zindagani mein to milne se jhijakti hai 'falak'
KHalq ko yaad meri baad-e-fana aaegi
Nazm
Sachche watan-parast ka git
Lal Chand Falak