azal se us ki saltanat ko koi manta nahin
jo dil mein aa ke jhank le to jaise jaanta nahin
par ab to man jhuT ki nafi na kar
nafi na kar ki jhuT hai
sach ki sari saltanat ka wasta
nafi na kar ki jhuT hai
nutq par KHitab mein
aab-o-KHak-o-baad mein
muamle mukalme takallufat-o-hadse
main dost yar mehrban
khet khet rengta hai jhuT bahte aab mein
sinchta hai nur jhuT shahr ke makan mein
bhagta hai tez tez jhuT tez kar mein
jhuT kale harf ki buland bang surKHiyan
jhuT ahd-e-kuhna ki dabiz lan-taraniyan
jhuT is liye ki sach ka dur tak pata nahin
ye tera sirf wahm hai main sach se bad-guman nahin
har ek naqib sach ka lahke jhuT ke alaw mein
guman ko KHisht kar ke sach ki niw Dalta raha hai
jhuT ki nafi na kar
ki sach ki dudhiya lakir dur jhilmila sake
Nazm
Sach
Abrarul Hasan