sulaiman sar-ba-zanu aur saba viran
saba viran, saba aaseb ka maskan
saba aalam ka ambar-e-be-payan!
gayah o sabza o gul se jahan KHali
hawaen tishna-e-baran,
tuyur is dasht ke minqar-e-zer-e-par
tu surma war gulu insan
sulaiman sar-ba-zanu aur saba viran!
sulaiman sar-ba-zanu tursh-ru gham-gin, pareshan-mu
jahan-giri, jahan-bani faqat tarrara-e-ahu
mohabbat shola-e-paran hawas bu-e-gul be-bu
za-raaz-e-dahr kam-tar-go!
saba viran ke ab tak is zamin par hain
kisi ayyar ke ghaarat-garon ke naqsh-e-pa baqi
saba baqi, na mahru-e-saba baqi!
sulaiman sar-ba-zanu
ab kahan se qasid-e-farKHanda-pai aae?
kahan se, kis subu se kasa-e-piri mein mai aae?
Nazm
Saba viran
Noon Meem Rashid